Tomato ke fayde aur nuksan janiye!!
Tomato ke fayde aur nuksan
Tomato ke fayde:
Tamater humare kitchen me rojana istemal hone wali sabji hai, India me isse log bade chav se khate hai. Isse anek fayde hai aur iske sath ager app iska adhik Sevan Kare to nuksan bhi jhelane pad sakte hai. Halaki isme bharpur matra main vitamin a, vitamin c calcium, iron paya jata hai.
- Tamater mein adhik matra mein fiber paya jata hai jisse yeah aapke fat ko kam karne mein sahayata karta hai.
- Tamatar ka ras chehre par lagane se kil muhase dur hone mein aapki sahayata karta hai.
- tamatar ke Ras ko din mein 2 se 3 baar aankhon ke neeche ghisne se hamare aankhon ke neeche Jo kalapan hota hai usse hatane mein ya sahayata karta hai.
- Agar aapko Koi purana jodo ka dard ho to aap is se tamatar ke jariye dur kar sakte hain.
- tamatar apko har prakar ke cancer se dur rakhne mein sahayata karta hai jaise Gale, pet, adi.
- Tamatar diabetes or sugar ko control karne mein aapki sahayata karta hai.
- Tamatar mein bharpur matra mein vitamin c paya jata hai jisse pregnant mahila ko isme sahayata milti hai un mein khoon ki kami ko dur karta hai aur iske juice ko pregnant mahilao ko roj Pina chahiye.
- Tamatar high blood pressure ko kam karne mein sahayata karta hai.
- Aankhon ke neeche Kale dhabbe ko nikalne main aapki sahayata karta hai.
- jise raat mein neend Na aane ki samasya hoti hai woh tamatar ke Sevan se acchi neend ka fayda utha sakte hain.
- Tamatar ka Sevan karne se ye aapki haddiyon ko majboot aur swasth banaye rakhta hai.
- Tamatar ka Sevan karne se ye ap ke balo ko swasth Sundar aur tootane se bachata hai.
Tomato ke nuksan:
- Tamatar mein adhik matra mein acid paya jata hai jisse aapko acidity ki samasya ho sakti hai.
- adhik matra mein tamatar ka Sevan karne se gas banne ki samasya ho sakti hai.
- Tamatar ka adhik Sevan karne se aapke chehre ka rang bhi badal sakta hai.
- Tamatar ka lagatar lambe samay tak istemal karne se aap kis sharir se durgandh aa sakti hai.
- kacche tamatar ka adhik Sevan karne se ye aapke immunity system par prabhav Dal sakta hai.
- Tamatar ka adhik istemal karne se pet fulne jaisi samasya utpann ho sakti hai kyunki yeah hamare pet mein Jane se jaldi nahi pachta.
Comments
Post a Comment